Meri Bandagi Tujhe De Sakegi Bajae Maani O Lafz Kya
meri bandagi tujhe de sakegi bajae maani o lafz kya
hai mere shuur ki jholiyon mein siwae maani-o-lafz kya
jo nazar ka bojh na sah sakin wo zaban ka bojh sahengi kya
subuk-o-latif ishaaraton pe jafa-e-maani-o-lafz kya
mujhe Dar hai ai suKHan-afrin ye libas un par giran na ho
jo haqiqaten na pahan sakin wo qaba-e-maani-o-lafz kya
na wo shams mein na qamar mein hai wo hijab-e-fikr-o-nazar mein hai
jo hijab-e-fikr-o-nazar uTha to ghiza-e-maani-o-lafz kya
meri ruh agarche hai gurisna mera shauq agarche hai jaan-ba-lab
magar ai 'jamil'-e-ghazal-sara ye rida-e-maani-o-lafz kya
(1326) Peoples Rate This