Koi Sawal-e-KHuda-o-sanam Nahin Ai Dost
koi sawal-e-KHuda-o-sanam nahin ai dost
main kya karun meri gardan mein KHam nahin ai dost
hamein yahi hai munasib ki ek su ho len
jagah miyan-e-wajud-o-adam nahin ai dost
KHushamadon se nikalta nahin hai kaam yahan
moamla hai KHuda se sanam nahin ai dost
agarche sard andhere hain bais-e-taklif
magar ye garm ujale bhi kam nahin ai dost
ajab mizaj hai in mai-kada nashinon ka
ki qadr-e-jam to hai qadr-e-jam nahin ai dost
khula hai aur khulega 'jamil' sab ke liye
ye mai-kada hai kunisht-o-haram nahin ai dost
(923) Peoples Rate This