Kisi Ka KHun Sahi Ek Nikhaar De To Diya
kisi ka KHun sahi ek nikhaar de to diya
KHizan ko tum ne libas-e-bahaar de to diya
mere shuur ko kaliyan ab aur kya detin
tasawwur-e-lab-e-rangin-e-yar de to diya
ab aur KHizr se kya chahti hai pyas meri
sarab-e-rahmat-e-parwar-digar de to diya
agarche jabr hai ye bhi magar ghanimat jaan
ki ek jazba-e-be-iKHtiyar de to diya
ye aur baat ki daman ko phul de na saki
magar bahaar ne talwon ko KHar de to diya
bahaar aae na aae magar lahu ne mere
chaman ki KHak ko ek e'tibar de to diya
ummiden chhin lin us ne to phir gila kya hai
qarar mang rahe the qarar de to diya
kare KHuda se gila kyun kisi ki majburi
kisi ke dil pe sahi iKHtiyar de to diya
'jamil' us aatish-e-ruKH ko hawa na do itni
ab aur chahiye kya ek sharar de to diya
(1323) Peoples Rate This