Kaun Kahta Hai BaDha Shauq Idhar Se Pahle
kaun kahta hai baDha shauq idhar se pahle
kis ne dekha tha kise tirchhi nazar se pahle
mutmain ho le zara ahl-e-nazar se pahle
parde aankhon ke uTha parda-e-dar se pahle
abhi talim-e-wafa yani jafa ka nahin waqt
tarbiyat shauq ki ho lutf-e-nazar se pahle
han mohabbat mein maza hai mujhe inkar nahin
magar ai zauq-e-KHalish dard-e-jigar se pahle
salik-e-rah-e-wafa hai dil-e-ashufta-mizaj
muzhda-e-gumrahi-e-shauq-e-safar se pahle
jurat-e-arz-e-tamanna pe KHafa ho lena
muskurao to zara nichi nazar se pahle
mausam-e-kaif mein be-kaifi-e-jazbaat na puchh
dil-e-bulbul hai fasurda gul-e-tar se pahle
jumbish-e-muztarib-e-parda-e-ismat ki qasam
jalwe betab hue zauq-e-nazar se pahle
jin se badnam hue ishq ke jazbaat-e-latif
wo ishaare the idhar se ki udhar se pahle
do iradon mein jo hail the haya ke parde
kis ne sarkae ishaaraat-e-nazar se pahle
kyun koi pahlu-e-jaanan mein jagah pae 'jamil'
aaj hum bazm mein pahunchenge qamar se pahle
(929) Peoples Rate This