Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_01c379ab978d66ccb7785cb89f94a31e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Panw Mila Tha To Raste Bhi Nazar Aate - Jameel Mazhari Poetry In English - Darsaal

Jab Panw Mila Tha To Raste Bhi Nazar Aate

jab panw mila tha to raste bhi nazar aate

tum tak na sahi lekin ta-hadd-e-nazar jate

tum aankh nahin rakhte aur dekhte ho sab kuchh

hum aankh bhi rakhte hain aur dekh nahin pate

har rah to manzil tak le jati nahin sab ko

kuchh der idhar chalte kuchh der udhar jate

parda wo uThaya to parda hi nazar aaya

jab kuchh na nazar aaya to kyun na Thahar jate

ye ishq nahin ye hai kam-bini o kam-aqali

ek lutf-e-tabassum par itna nahin itraate

jo ho na 'jamil' apna auron ka wo kya hoga

kya khaoge gham mera tum apna hi gham khate

(887) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Panw Mila Tha To Raste Bhi Nazar Aate In English By Famous Poet Jameel Mazhari. Jab Panw Mila Tha To Raste Bhi Nazar Aate is written by Jameel Mazhari. Read famous Poem Jab Panw Mila Tha To Raste Bhi Nazar Aate for youth and Student by Jameel Mazhari. Free Download Jab Panw Mila Tha To Raste Bhi Nazar Aate in PDF.