Ghaur To Kije Ki Ye Sajda-rawa Kyun Kar Hua
ghaur to kije ki ye sajda-rawa kyun kar hua
us ne jab kuchh hum se manga to KHuda kyunkar hua
ai nigah-e-shauq is chashm-e-fusun-pardaz mein
wo jo ek pindar tha aaKHir haya kyunkar hua
ek taraazu ishq ke hathon mein bhi jab hai to wo
aalam-e-sud-o-ziyan se mawara kyunkar hua
din o danish donon hi har moD par the dil ke sath
yak-ba-yak diwana donon se KHafa kyunkar hua
rahzanon ke ghol idhar the rahbaron ki bhiD udhar
aa gae manzil pe hum ye mojaza kyunkar hua
KHarzar-e-din-o-danish lala-zar-e-husn-o-ishq
dil ki ek wahshat se tai ye marhala kyunkar hua
apne zehni zalzalon ka nam jo rakh lo magar
do dilon ka ek tasadum saneha kyunkar hua
teri mahrumi use jo bhi kahe lekin 'jamil'
ghair se us ne wafa ki bewafa kyunkar hua
(1080) Peoples Rate This