Bulao Usko Zaban-dan Jo Mazhari Ka Ho
bulao us ko zaban-dan jo 'mazhari' ka ho
magar hai shart ki ikkiswin sadi ka ho
yaqin wahi hai jo aaghosh-e-tirgi mein mile
sawad-w-wahm mein ham-saya raushni ka ho
buton ko toD ke aisa KHuda banana kya
buton ki tarah jo ham-shakl aadmi ka ho
mera ghurur na kyun ho surur se KHali
jab us ke bhes mein ek chor kam-tari ka ho
bahut baja hai ye mazhab ki maut par matam
magar koi to aza-dar shaeri ka ho
hai waqt wo ki musallam ho aazari us ki
sanam-kadon mein sanam zehn 'mazhari' ka ho
(893) Peoples Rate This