Ye Aur Baat Hamein Surat-e-gulab Lage
ye aur baat hamein surat-e-gulab lage
'jamil' zaKHm lage aur be-hisab lage
tumhaare baad na takmil ho saki apni
tumhaare baad adhure tamam KHwab lage
main kaise tujh ko pukarun kahan se laun tujhe
tere baghair agar zindagi azab lage
main jitni bar paDhun kaise kaise rang bharun
tera gulab sa chehra mujhe kitab lage
har ek sawal pe to muskura ke rah jae
hamein to ek hi jaisa tera jawab lage
dikhai de kabhi mahtab mein teri surat
kabhi tu din ke ujale mein aaftab lage
'jamil' KHwab haqiqat-numa bhi hote hain
wahi qarib-e-rag-e-jaan hai jo sarab lage
(1082) Peoples Rate This