Raat Kitne Na-tarashida Guhar Bhi Laegi
raat kitne na-tarashida guhar bhi laegi
na-tarashida si zau lekin sahar bhi laegi
jagmaga uTThenge shaKHon par gulabon ke charagh
jab bahaar aai to apne baal-o-par bhi laegi
aaj tak lauTe nahin nadida shamon ke safir
jugnuon ki raushni un ki KHabar bhi laegi
jab mili aawargi ko manzil-e-KHud-agahi
dasht mein khoe huon ko apne ghar bhi laegi
KHak se taKHliq hogi aatish-o-ab-o-hawa
zindagi KHud apna saman-e-safar bhi laegi
ta-ba-kai chhup kar karoge mera sar tan se juda
dekhna kal ki gawahi mera sar bhi laegi
jab bujhegi aag to apne hi naghmon se 'jamil'
zard aandhi barish-e-barq-o-sharar bhi laegi
(1027) Peoples Rate This