Lakh Ehsas Tera Kushta-e-haalat Rahe
lakh ehsas tera kushta-e-haalat rahe
tere honTon pe shagufta si koi baat rahe
tu ne har daur mein ulTi hai bisat-e-alam
aaj ye aaKHiri bazi bhi tere baat rahe
ye bhi milna hai ki bas mil ke bichhaD jate hain
lutf to jab hai ki ek umr mulaqat rahe
kaenat un ke liye ek sarab ek KHayal
jo nigahban-e-haram mahw-e-gham-e-zat rahe
yun sar-e-bazm koi naghma-e-jawed suna
ki tere baad bhi mahfil mein teri baat rahe
kya ajab ek hi manzil ho hamari ai dost
rah kaT jaegi donon ka agar sat rahe
apna shewa ki jalate hain andheron mein charagh
un ki sazish ki zamane mein yunhi raat rahe
jo lagate rahe har haal pe jaan ki bazi
kyun 'jamil' un ke muqaddar mein faqat baat rahe
(1600) Peoples Rate This