Kya Kya Ba-dast-e-ghaib Sabhi Ne Liya Na Tha
kya kya ba-dast-e-ghaib sabhi ne liya na tha
lekin meri wafa ka koi bhi sila na tha
aawaza-e-raqib se uljhe hain bar bar
tujh se shikayaton ka magar hausla na tha
us ki nawazishon pe na itrao dosto
mujh par karam wo tha ki kisi par hua na tha
lete hain bar bar wo aise KHuda ka nam
duniya mein jaise aur kisi ka KHuda na tha
raste dayar-e-dil ke bhi kitne ajib the
sab rah-rau the koi yahan rahnuma na tha
dil ne to apni baat kahi sab ke ru-ba-ru
dil tha munafiqat se kabhi aashna na tha
shisha-garon ne us ki basirat bhi chhin li
aankhen thin us ke pas magar dekhta na tha
nadida manzilon ke musafir the kitne log
chalna tha jin ka kaam magar aasra na tha
kya bujh gae the mere hi ghar ke sabhi charagh
ya shahr bhar mein diya bhi jala na tha
us gul ka aab-o-rang hi tha ru-kash-e-bahaar
jo gul darun-e-shaKH tha lekin khila na tha
qatil to aur bhi the bahut shahr-e-dard mein
tujh sa magar 'jamil' koi dusra na tha
(895) Peoples Rate This