Har Ghar Ke Aas-pas Samundar Laga Mujhe
har ghar ke aas-pas samundar laga mujhe
kitna muhib shahr ka manzar laga mujhe
KHilqat bahut thi phir bhi koi bolta na tha
sunsan raston se bahut Dar laga mujhe
qatil ka hath aaj KHuda ke hai ru-ba-ru
dast-e-dua bhi KHun ka saghar laga mujhe
yun reza reza hun ki koi bhi hua na tha
yun to teri nigah ka kankar laga mujhe
baiThe-biThae kucha-e-qatil mein le gaya
masum dil bhi kitna sitamgar laga mujhe
kis kis ne chuTkiyon mein uDaya hai mera dil
chahe to tu bhi aaKHiri Thokar laga mujhe
gulchin palaT ke sab tere kuche se aae hain
phulon ke raste mein tera ghar laga mujhe
wo jagta raha to qayamat bapa rahi
wo so gaya to aur bhi kafar laga mujhe
dekha jab aankh bhar ke use Dubta gaya
aalam tamam aalam-e-digar laga mujhe
us ki KHamoshiyon mein nihan kitna shor tha
mujh se siwa wo dard ka KHugar laga mujhe
jis aaine mein bhi tera paikar sama gaya
us aaine mein apna hi jauhar laga mujhe
ya mere dil se hasrat-e-parwaz chhin le
ya mere pas aa ke nae par laga mujhe
sahil pe jo khaDa tha tamasha bana hua
wo gahre paniyon ka shanawar laga mujhe
socha to chur chur the shishe ke ghar tamam
dekha to hath hath mein patthar laga mujhe
aaankhon se gard jhaD ke dekha to dosto
kotah qad bhi apne barabar laga mujhe
tarikiyon mein nur ka haala bhi tha kahin
dasht-e-KHayal apna muqaddar laga mujhe
chheDi kuchh is tarah se 'jamil' us ne ye ghazal
har ek sher qand-e-mukarrar laga mujhe
(940) Peoples Rate This