Gul-pairahan Rahe Ki Darida-qaba Rahe
gul-pairahan rahe ki darida-qaba rahe
jis haal mein rahe tera naqsh-e-baqa rahe
hum to tamam umr teri hi ada rahe
ye kya hua ki phir bhi hamin bewafa rahe
chahi jo tu ne baat wahi baat hum ne ki
teri zaban bane tere dil ki sada rahe
tu sath sath tha to KHudai bhi sath thi
apni rafaqaton ke nishan ja-ba-ja rahe
tujh ko bhula ke bhi na tujhe hum bhala sake
na-ashna wo the ki jahan aashna rahe
sab dekhte the phir bhi koi dekhta na tha
sab ke liye rasa the magar na-rasa rahe
lab par ho shikwa-rez tabassum bujha hua
dil mein magar kisi ki mohabbat siwa rahe
taswir ki tarah teri surat ho ru-ba-ru
taswir ban ke koi tujhe dekhta rahe
dil tang ho to wusat-e-alam bhi tang-tar
duniya bahut khuli hai agar dil mein ja rahe
lagte hi aankh raat ke hangame so gae
jage the jitni der qayamat bapa rahe
phulon ne ja ke sej sajai tamam raat
kanTe chaman ke sab mere daman mein aa rahe
ye jashn-e-na-KHuda hai ki maujon ka raqs hai
kashti ho gharq-e-ab magar na-KHuda rahe
kahne ko ek lafz mere pas hai 'jamil'
jab le uDe wo baat mere pas kya rahe
(913) Peoples Rate This