Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c2650f8383a74079f9058faa5dfae1ab, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Duba Hua Hun Dard Ki Gahraiyon Mein Bhi - Jameel Malik Poetry In English - Darsaal

Duba Hua Hun Dard Ki Gahraiyon Mein Bhi

Duba hua hun dard ki gahraiyon mein bhi

main KHanda-zan hun khokhli danaiyon mein bhi

uryan hai sara shahr chali yun hawas ki lahar

tujh ko chhupa raha hun main tanhaiyon mein bhi

kaise the log jin ki zabanon mein nur tha

ab to tamam jhuT hai sachchaiyon mein bhi

ab nek-namiyon mein bhi koi maza nahin

pahle to ek lutf tha ruswaiyon mein bhi

wo dauD hai kisi ko kisi ki KHabar nahin

ab kitni ghairiyat hai shanasaiyon mein bhi

rangin saaton mein kahan wo malahaten

parchhaiyon ka jal hai ranaiyon mein bhi

hum jin ke waste the tamasha bane hue

dekha to wo nahin the tamashaiyon mein bhi

main hi tha wo jo apne hi teshe se mar gaya

hi hi tha shahr-e-jabr ke balwaion mein bhi

kya daur hai ki jis mein sada bhi sukut hai

tanhaiyan hain anjuman-araiyon mein bhi

wo pyar do ki jis ki chamak mand hi na ho

hota hai ye KHulus to harjaiyon mein bhi

saz o sada ke shor mein gum ho gaya 'jamil'

kis kis ke dil ka dard tha shahnaiyon mein bhi

(861) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Duba Hua Hun Dard Ki Gahraiyon Mein Bhi In English By Famous Poet Jameel Malik. Duba Hua Hun Dard Ki Gahraiyon Mein Bhi is written by Jameel Malik. Read famous Poem Duba Hua Hun Dard Ki Gahraiyon Mein Bhi for youth and Student by Jameel Malik. Free Download Duba Hua Hun Dard Ki Gahraiyon Mein Bhi in PDF.