Doston Ke Darmiyan Bhi Hum Ko Tanha Dekhte
doston ke darmiyan bhi hum ko tanha dekhte
tum kabhi aate sar-e-mahfil tamasha dekhte
aaina-KHanon mein kya rakkha hai hairat ke siwa
kucha-o-bazar mein KHun-e-masiha dekhte
maut ko bhi hum bana lete mata-e-zindagi
qatl yun hote ki sab dana o bina dekhte
qais ki manind kyun taswir ban kar rah gae
parda-e-mahmil uTha kar ru-e-laila dekhte
mein tumhaare husn ka be-saKHta izhaar hun
apne aaine mein mera bhi sarapa dekhte
DhunDne nikle hain tujh ko mawara-e-ab-o-gil
umr guzri yam-ba-yam sahra-ba-sahra dekhte
kya ye kam hai farsh se ta-arsh ho aae 'jamil'
chaar din ki zindagi mein aur kya kya dekhte
(908) Peoples Rate This