Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_1902b20b5d7adef1092afeb0f83777d0, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
ToD Ke Nata Ham-sajnon Se Pag Pag Wo Pachtae Hain - Jameel Azimabadi Poetry In English - Darsaal

ToD Ke Nata Ham-sajnon Se Pag Pag Wo Pachtae Hain

toD ke nata ham-sajnon se pag pag wo pachtae hain

jab jab un se aankh mili hai tab tab wo sharmae hain

rup-nagar ko chhoD ke jab se aas-nagar ko aae hain

sahra sahra dhup kaDi hai peD na koi sae hain

jangal jangal aag lagi hai dariya dariya pani hai

nagri nagri thah nahin hai log bahut ghabrae hain

sachchai hai amrit dhaara sachchai anmol sahaara

sach ke raste chal ke sab ne Thor Thikane pae hain

daulat to hai aani jaani rup-nagar ki ram-kahani

dhan ke lau bhi dharti par kab sukh se rahne pae hain

shisha jab bhi TuTega jhankar faza mein gunjegi

jab hi komal desh dulare patthar se Takrae hain

jhuT ka Danka bajta tha jis waqt 'jamil' is nagri mein

har raste har moD pe hum ne sach ke alam lahrae hain

(731) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ToD Ke Nata Ham-sajnon Se Pag Pag Wo Pachtae Hain In English By Famous Poet Jameel Azimabadi. ToD Ke Nata Ham-sajnon Se Pag Pag Wo Pachtae Hain is written by Jameel Azimabadi. Read famous Poem ToD Ke Nata Ham-sajnon Se Pag Pag Wo Pachtae Hain for youth and Student by Jameel Azimabadi. Free Download ToD Ke Nata Ham-sajnon Se Pag Pag Wo Pachtae Hain in PDF.