Likhna Hai Sar-guzasht Qalam Naz Se UTha
likhna hai sar-guzasht qalam naz se uTha
har nuqta-e-hayat ko aaghaz se uTha
har ma-siwa ke KHauf ko jis ne miTa diya
nara wo la-tazar ka mere saz se uTha
jo bhi bharam tha chand-sitaron ka khul gaya
parda kuchh aisa jurat-e-parwaz se uTha
wo shor jis se azmat-e-shahi laraz gai
tabrez-o-qum se mashhad-o-shiraaz se uTha
afsurda anjuman hai fasurda hain ahl-e-dil
ye kaun aaj jalwa-gah-e-naz se uTha
ye naunihaal-e-bagh-e-tamanna ke phul hain
aaghosh-e-dil mein in ko zara naz se uTha
mar jaunga to log kahenge yahi 'jamil'
ek mard-e-haq ki lash hai eazaz se uTha
(591) Peoples Rate This