Be-faiz Ajab Nikli Ye Fasl-e-tamanna Bhi

be-faiz ajab nikli ye fasl-e-tamanna bhi

phuTi nahin konpal bhi chaTka nahin ghuncha bhi

kya ho gaya gulshan ko sakit hai faza kaisi

sab shaKH o shajar chup hain hilta nahin patta bhi

lau jis se lagai thi wo aas bhi maddham hai

dil jis se charaghan tha bujhta hai wo shoala bhi

is ishq mein kya khoya is dard se kya paya

tum ne nahin puchha bhi hum ne nahin socha bhi

aangan hi mein ab dil ke hum KHak uDate hain

ghar hi mein nikal aai gunjaish-e-sahra bhi

andhon ke liye roun bahron ke liye gaun

hai zauq-e-nawa mujh ko lekin nahin itna bhi

(840) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Be-faiz Ajab Nikli Ye Fasl-e-tamanna Bhi In English By Famous Poet Jamal Panipati. Be-faiz Ajab Nikli Ye Fasl-e-tamanna Bhi is written by Jamal Panipati. Read famous Poem Be-faiz Ajab Nikli Ye Fasl-e-tamanna Bhi for youth and Student by Jamal Panipati. Free Download Be-faiz Ajab Nikli Ye Fasl-e-tamanna Bhi in PDF.