Patthar Se Mukalima Hai Jari

patthar se mukalima hai jari

donon hi taraf hai hoshiyari

wahshat se main bhagta raha hun

phir mujh pe junun hua hai tari

darwesh ko rakh ke KHak-e-pa mein

karta hai zamana shahryari

patthar se mujhe na choT pahunchi

ek gul ne diya hai zaKHm kari

shahri watan-e-aziz ka hun

lekin hai shiar ashk-bari

mazhab hai mera tariq-e-hindi

derina buton se apni yari

paya hai farogh-e-secularism

talwar hui hai ab do dhaari

guzre hue din ka istiara

ye maulwi aur ye bhikari

(794) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Patthar Se Mukalima Hai Jari In English By Famous Poet Jamal Owaisi. Patthar Se Mukalima Hai Jari is written by Jamal Owaisi. Read famous Poem Patthar Se Mukalima Hai Jari for youth and Student by Jamal Owaisi. Free Download Patthar Se Mukalima Hai Jari in PDF.