Pahle Ki Ba-nisbat Hai Mujhe Kaam Ziyaada
pahle ki ba-nisbat hai mujhe kaam ziyaada
dil ko hai magar KHwahish-e-aram ziyaada
nakaam rahi shaeri jin pesh-rawon ki
dete hain azizon ko wo paigham ziyaada
kam-kosh the kaj apni kulah rakh nahin pae
baghi na bane aur hue badnam ziyaada
kuchh haare hue baiTh ke ab soch rahe hain
aaghaz kya kam hua anjam ziyaada
duniya se tawaqqoa nahin kuchh dad-o-sitad ki
KHuban ko sada deti hai dushnam ziyaada
(736) Peoples Rate This