Jo Meri Aah Se Nikla Dhuan Hai Meri MiTTi Ka

jo meri aah se nikla dhuan hai meri miTTi ka

mere andar nihan aatish-fishan hai meri miTTi ka

diye hain taq par raushan magar zau mere andar hai

jo kuchh kuchh tirgi hai wo saman hai meri miTTi ka

mere jalwon ki pamali na dekhi jaegi mujh se

hunar kuchh is tarah se raegan hai meri miTTi ka

zarur us ki shabahat meri sochon se alag hogi

tasawwur mein jo dekha hai guman hai meri miTTi ka

samundar aur dariya hain purane aashna mere

barasta hai jo pani mehrban hai meri miTTi ka

mere ashaar mein aafaq-o-anfus ki kahani hai

mera har lafz-e-shirin tarjuman hai meri miTTi ka

'owaisi' qalb-o-jaan karte rahe sher-o-adab ko hum

agarche ye bhi jins-e-raegan hai meri miTTi ka

(953) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jo Meri Aah Se Nikla Dhuan Hai Meri MiTTi Ka In English By Famous Poet Jamal Owaisi. Jo Meri Aah Se Nikla Dhuan Hai Meri MiTTi Ka is written by Jamal Owaisi. Read famous Poem Jo Meri Aah Se Nikla Dhuan Hai Meri MiTTi Ka for youth and Student by Jamal Owaisi. Free Download Jo Meri Aah Se Nikla Dhuan Hai Meri MiTTi Ka in PDF.