Jab Kabhi Shor-e-jahan Hota Hai
jab kabhi shor-e-jahan hota hai
mere hone ka guman hota hai
jabr hai mujh pe nizam-e-fitrat
mujh pe har lamha giran hota hai
subah hoti nahin pahle jaisi
shab-giraftar saman hota hai
dhund mein khote hain manzar sare
pech dar pech dhuan hota hai
sham ta-subh charaghan kar ke
dasht mein nauha-e-jaan hota hai
waqt phailata hai daman apna
aag ka dariya rawan hota hai
mujh ko aazad kar ai danish-e-nau
dil giraftar-e-butan hota hai
(855) Peoples Rate This