Jaane Kaise Log The Yaad Aae Kam Jaane Ke Baad
jaane kaise log the yaad aae kam jaane ke baad
aib sare khul gae marhum kahlane ke baad
chand ka haala meri aankhon ka jala ban gaya
kuchh nazar aaya na phir tere nazar aane ke baad
aadamiyat ke sabhi paimane ho jate hain pash
bhuk aisi jagti hai peT bhar jaane ke baad
us ne ek ek lafz ka paisa kiya mujh se wasul
kal ki shab milad mein taqrir farmane ke baad
main ne ta-hadd-e-nazar dekha koi monis na tha
dopahar ke waqt barqi-mauj lahrane ke baad
(716) Peoples Rate This