Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c07f5c0390c78b93c8761fff58e95bcf, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Waqai Koi Agar Maujud Hai - Jamal Ehsani Poetry In English - Darsaal

Waqai Koi Agar Maujud Hai

waqai koi agar maujud hai

phir to ye dukh umr-bhar maujud hai

bich ka rasta nahin baqi koi

ya KHuda hai ya bashar maujud hai

us ko pane ki tawaqqo hai bahut

jab talak ye chashm-e-tar maujud hai

us ke milne hi se pahle jaane kyun

us ko kho dene ka Dar maujud hai

koi manzil kaise tanha sar karen

ham-safar mein ham-safar maujud hai

aadat-e-KHana-KHarabi hai 'jamal'

warna achchha-KHasa ghar maujud hai

(1067) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Waqai Koi Agar Maujud Hai In English By Famous Poet Jamal Ehsani. Waqai Koi Agar Maujud Hai is written by Jamal Ehsani. Read famous Poem Waqai Koi Agar Maujud Hai for youth and Student by Jamal Ehsani. Free Download Waqai Koi Agar Maujud Hai in PDF.