Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_27649dd1238998a66502c715774d1334, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Sitare Hi Sirf Raston Mein Na Kho Rahe The - Jamal Ehsani Poetry In English - Darsaal

Sitare Hi Sirf Raston Mein Na Kho Rahe The

sitare hi sirf raston mein na kho rahe the

charagh aur chand bhi gale mil ke ro rahe the

nigah aise mein KHak pahchanti kisi ko

ghubar aisa tha aaine aks kho rahe the

kisi bayaban mein dhup rasta bhaTak gai thi

kisi bhulawe mein aa ke sab peD so rahe the

na ranj-e-hijrat tha aur na shauq-e-safar tha dil mein

sab apne apne gunah ka bojh Dho rahe the

'jamal' us waqt koi mujh se bichhaD raha tha

zamin aur aasman jab ek ho rahe the

(948) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sitare Hi Sirf Raston Mein Na Kho Rahe The In English By Famous Poet Jamal Ehsani. Sitare Hi Sirf Raston Mein Na Kho Rahe The is written by Jamal Ehsani. Read famous Poem Sitare Hi Sirf Raston Mein Na Kho Rahe The for youth and Student by Jamal Ehsani. Free Download Sitare Hi Sirf Raston Mein Na Kho Rahe The in PDF.