Sab Badalte Ja Rahe Hain Sar-ba-sar Apni Jagah
sab badalte ja rahe hain sar-ba-sar apni jagah
dasht ab apni jagah baqi na ghar apni jagah
main bhi nadim hun ki sab ke sath chal sakta nahin
aur sharminda hain mere ham-safar apni jagah
kyun simaTti ja rahi hain KHud-ba-KHud aabaadiyan
chhoDte kyun ja rahe hain baam-o-dar apni jagah
jo kuchh in aankhon ne dekha hai main us ka kya karun
shahr mein phaili hui jhuTi KHabar apni jagah
main 'jamal' apni jagah se is liye haTta nahin
wo ghaDi aa jae shayad lauT kar apni jagah
(1148) Peoples Rate This