Na Sunne Mein Na Kahin Dekhne Mein Aaya Hai
na sunne mein na kahin dekhne mein aaya hai
jo hijr o wasl mere tajribe mein aaya hai
nae sire se jal uTThi hai phir purani aag
ajib lutf tujhe bhulne mein aaya hai
na hath mere na aankhen meri na chehra mera
ye kis ka aks mere aaine mein aaya hai
jawaz rakhta hai har ek apne hone ka
yahan pe jo hai kisi silsile mein aaya hai
hai waqia hadaf-e-sail-e-ab tha koi aur
mera makan to bas raste mein aaya hai
wo raaz-e-wasl tha jo nind mein khula mujh par
ye KHwab-e-hijr hai jo jagte mein aaya hai
'jamal' dekh ke jita tha jo kabhi tujh ko
kahin wo shaKHs bhi kya dekhne mein aaya hai
(977) Peoples Rate This