Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e2607c251ec776f691a5c80a0c834d01, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Na Koi Fal Nikali Na IstiKhaara Kiya - Jamal Ehsani Poetry In English - Darsaal

Na Koi Fal Nikali Na IstiKhaara Kiya

na koi fal nikali na istiKHara kiya

bas ek subh yunhi KHalq se kinara kiya

nikal paDenge gharon se tamam sayyare

agar zamin ne halka sa ek ishaara kiya

jo dil ke taq mein tu ne charagh rakkha tha

na puchh main ne use kis tarah sitara kiya

parai aag ko ghar mein uTha ke le aaya

ye kaam dil ne baghair ujrat o KHasara kiya

ajab hai tu ki tujhe hijr bhi garan guzra

aur ek hum ki tera wasl bhi gawara kiya

hamesha hath raha hai 'jamal' aankhon par

kabhi KHayal kabhi KHwab par guzara kiya

(1378) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Koi Fal Nikali Na IstiKhaara Kiya In English By Famous Poet Jamal Ehsani. Na Koi Fal Nikali Na IstiKhaara Kiya is written by Jamal Ehsani. Read famous Poem Na Koi Fal Nikali Na IstiKhaara Kiya for youth and Student by Jamal Ehsani. Free Download Na Koi Fal Nikali Na IstiKhaara Kiya in PDF.