Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_fa1063abe94e054c0a26ac8584a49cd2, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Main Bunda-bandi Ke Darmiyan Apne Ghar Ki Chhat Par KhaDa Raha Hun - Jamal Ehsani Poetry In English - Darsaal

Main Bunda-bandi Ke Darmiyan Apne Ghar Ki Chhat Par KhaDa Raha Hun

main bunda-bandi ke darmiyan apne ghar ki chhat par khaDa raha hun

charagh tha koi jis ke ham-rah raat-bhar bhigta raha hun

ye ab khula hai ki un mein mere nasib ki duriyan chhupi thin

main us ke hathon ki jin lakiron ko muddaton chumta raha hun

main sun chuka hun hawaon aur baadalon mein jo mashware hue hain

jo barishen ab ke hone wali hain un ke qisse suna raha hun

us ek viran peD par ab kai parindon ke ghonsle hain

jo pichhle mausam mein likh gaya tha wo nam main DhunDta raha hun

safar ki lazzat se baDh ke manzil ka qurb to mo'tabar nahin hai

wo mil gaya aur main abhi tak gali gali KHak uDa raha hun

(1083) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Bunda-bandi Ke Darmiyan Apne Ghar Ki Chhat Par KhaDa Raha Hun In English By Famous Poet Jamal Ehsani. Main Bunda-bandi Ke Darmiyan Apne Ghar Ki Chhat Par KhaDa Raha Hun is written by Jamal Ehsani. Read famous Poem Main Bunda-bandi Ke Darmiyan Apne Ghar Ki Chhat Par KhaDa Raha Hun for youth and Student by Jamal Ehsani. Free Download Main Bunda-bandi Ke Darmiyan Apne Ghar Ki Chhat Par KhaDa Raha Hun in PDF.