Kab Panw Figar Nahin Hote Kab Sar Mein Dhul Nahin Hoti
kab panw figar nahin hote kab sar mein dhul nahin hoti
teri rah pe chalne walon se lekin kabhi bhul nahin hoti
sar-e-kucha-e-ishq aa pahunche ho lekin zara dhyan rahe ki yahan
koi neki kaam nahin aati koi dua qubul nahin hoti
har-chand andesha-e-jaan hai bahut lekin is kar-e-mohabbat mein
koi pal bekar nahin jata koi baat fuzul nahin hoti
tere wasl ki aas badalte hue tere hijr ki aag mein jalte hue
kab dil masruf nahin rahta kab jaan mashghul nahin hoti
har rang-e-junun bharne walo shab-bedari karne walo
hai ishq wo mazduri jis mein mehnat bhi wasul nahin hoti
(894) Peoples Rate This