Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_6782c4e104e70f5b8c9665f9abfefa7e, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kab Dil Ke Aaine Mein Wo Manzar Nahin Raha - Jamal Ehsani Poetry In English - Darsaal

Kab Dil Ke Aaine Mein Wo Manzar Nahin Raha

kab dil ke aaine mein wo manzar nahin raha

aankhon ke samne jo ki pal bhar nahin raha

pairon tale zamin nahin thi to ji liye

lekin ab aasman bhi sar par nahin raha

tere KHayal mein kabhi is tarah kho gae

tera KHayal bhi hamein akasr nahin raha

wo qaht-e-sang hai sar-e-sahil ki al-aman

pani mein phenkne ko bhi patthar nahin raha

aagah kya hue hain sarabon se hum 'jamal'

sath-e-zamin pe koi samundar nahin raha

(795) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kab Dil Ke Aaine Mein Wo Manzar Nahin Raha In English By Famous Poet Jamal Ehsani. Kab Dil Ke Aaine Mein Wo Manzar Nahin Raha is written by Jamal Ehsani. Read famous Poem Kab Dil Ke Aaine Mein Wo Manzar Nahin Raha for youth and Student by Jamal Ehsani. Free Download Kab Dil Ke Aaine Mein Wo Manzar Nahin Raha in PDF.