Jo Bel Mere Qad Se Hai Upar Lagi Hui
jo bel mere qad se hai upar lagi hui
afsos har bisat se bahar lagi hui
us ki tapish ne aur bhi sulga rakha hai kuchh
jo aag hai makan se bahar lagi hui
sunte hain us ne DhunDh liya aur koi ghar
ab tak jo aankh thi tere dar par lagi hui
pahchan ki nahin hai ye irfan ki hai baat
taKHti koi nahin mere ghar par lagi hui
ab ke bahaar aane ke imkan hain ki hai
har pairahan pe chashm-e-rafu-gar lagi hui
is bar tul khinch gai jang agar to kya
is bar shart bhi to hai baDh kar lagi hui
manhus ek shakl hai jis se nahin farar
parchhain ki tarah se barabar lagi hui
tere hi chaar samt nahin hai hisar-e-jabr
pabandi-e-jamal hai sab par lagi hui
(956) Peoples Rate This