Jamal Ab To Yahi Rah Gaya Pata Us Ka
'jamal' ab to yahi rah gaya pata us ka
bhali si shakl thi achchha sa nam tha us ka
phir ek saya dar-o-baam par utar aaya
dil-o-nigah mein phir zikr chhiD gaya us ka
kise KHabar thi ki ye din bhi dekhna hoga
ab e'tibar bhi dil ko nahin raha us ka
jo mere zikr par ab qahqahe lagata hai
bichhaDte waqt koi haal dekhta us ka
mujhe tabah kiya aur sab ki nazron mein
wo be-qusur raha ye kamal tha us ka
so kis se kijiye zikr-e-nazakat-e-KHad-o-KHal
koi mila hi nahin surat-ashna us ka
jo saya saya shab-o-roz mere sath raha
gali gali mein pata puchhta phira us ka
'jamal' us ne to Thani thi umr-bhar ke liye
ye chaar rose mein kya haal ho gaya us ka
(993) Peoples Rate This