Is Samay Koi Nahin Meri Nigahbani Par
is samay koi nahin meri nigahbani par
ye ghaDi saKHt kaDi hai tere zindani par
ba-KHabar kar ke rah-e-ishq ki mushkil se tujhe
faisla chhoD diya hai teri aasani par
na hawa aur na miTTi pe kabhi ho paya
jo bharosa hai mujhe bahte hue pani par
main abhi pahle KHasare se nahin nikla hun
phir bhi tayyar hai dil dusri nadani par
kisi bhi waqt badal sakta hai lamha koi
is qadar KHush bhi na ho meri pareshani par
KHatm hone ko hain ashkon ke zaKHire bhi 'jamal'
roe kab tak koi is shahr ki virani par
(926) Peoples Rate This