Wo Aankhen Zahr Aisa Bo Gai Hain

wo aankhen zahr aisa bo gai hain

zaminen zard sahra ho gai hain

andhere gir rahe hain aasman se

faza ki wusaten bhi so gai hain

hamesha ek ja pata hun KHud ko

haden manzil ki shayad kho gai hain

chamak kya ret ki zarron mein hogi

jo sona tha wo maujen dho gai hain

pighalte dekh ke suraj ki garmi

abhi masum kirnen ro gai hain

(681) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Aankhen Zahr Aisa Bo Gai Hain In English By Famous Poet Jalib Nomani. Wo Aankhen Zahr Aisa Bo Gai Hain is written by Jalib Nomani. Read famous Poem Wo Aankhen Zahr Aisa Bo Gai Hain for youth and Student by Jalib Nomani. Free Download Wo Aankhen Zahr Aisa Bo Gai Hain in PDF.