Tamam Rang Hawa Ho Gae Kahani Se
tamam rang hawa ho gae kahani se
zamin kanp rahi hai utarte pani se
wo ek parinda-e-atish jo aag pita tha
asir ho gaya apni hi KHush-bayani se
shikar chhup gae apni panah-gahon mein
kaman TuT gai us ki khincha-tani se
jo khel khel rahe the hawaon ki shah par
wo khel KHatm hua marg-e-na-gahani se
KHud apne aap se larzan rahi ulajhti rahi
uTha na bar-e-garan raat ki jawani se
waraq waraq pe chala tesha-e-qalam lekin
na koi lafz juda ho saka maani se
(639) Peoples Rate This