Wafa-kesh-o-wafa-na-ashna Kya
wafa-kesh-o-wafa-na-ashna kya
mohabbat mein balaon ka gila kya
yahi do ek naghme wo bhi be-saut
shikasta-saz hun meri sada kya
na dekhen wo hamare dil ki mayyat
dil-e-marhum ka ab KHun-baha kya
adawat bijliyon ki mol le li
chaman mein do-ghaDi ko main hansa kya
ye aql-o-agahi ke KHam dawe
kabhi socha bhi ye tu ne ki tha kya
faqat ek zer-e-lab mubham tabassum
hamari aarzu kya muddaa kya
wafaen ain iman-e-mohabbat
mohabbat mein wafaon ka sila kya
shanawar ke liye girdab sahil
gham-e-be-chaargi-e-naKHuda kya
tera partaw hai jis ko husn kah den
muqabil ho tere hai dusra kya
mohabbat ki ye wo manzil hai jis mein
dawa-e-dard-o-dard-e-la-dawa kya
zamane-bhar ne nazren pher li hain
hue ho tum bas ek hum se KHafa kya
mujhe sari KHudai mil gai hai
diya hai tum ne dard-e-la-dawa kya
jo sar-masti hai in aankhon mein pinhan
'jalil' is duKHt-e-raz mein wo maza kya
(777) Peoples Rate This