Jab Kabhi Bhulne Walon Ka Salam Aata Hai
jab kabhi bhulne walon ka salam aata hai
karwan umr-e-gurezan ka Thahar jata hai
teri yaadon ke diye karta hun raushan shab ko
tab kahin ja ke dil-e-zar sukun pata hai
dair ye hai wo haram hai wo sanam-KHana hai
dekhna hai dil-e-diwana kidhar jata hai
un se kya kijiye begana-washi ka shikwa
waqt ke sath har insan badal jata hai
tum nahin hote to dil ruTha hua rahta hai
tum jo aate ho to diwana bahal jata hai
aah us waqfa-e-fursat pe dil-o-jaan nisar
aap ka dhyan jab aata hi chala jata hai
tark-e-waraftagi-e-shauq ke ba-wasf hanuz
chand se zohra jamalon ka salam aata hai
tu ne tadbir-e-mudawa na ki lekin ye na bhul
baat rah jati hai aur waqt guzar jata hai
imtiyaz-e-man-o-tu jab nahin rahta hai 'jalil'
waqt aisa bhi mohabbat mein zarur aata hai
(801) Peoples Rate This