ChhuT Gain Nabzen Ruki Sansen Nazar Pathra Gai
chhuT gain nabzen ruki sansen nazar pathra gai
maut kyun kahiye use bimar ko nind aa gai
dar-haqiqat aap the ya aap ka aks-e-jamil
waqai meri nazar kya aaj dhoka kha gai
main ne chaha tha ki phulon se basa lun pairahan
bu-e-gul bhi mere daman se magar katra gai
hum ko tark-e-arzu ka aaj ye hasil mila
aarzu ka nam le kar aarzu sharma gai
baj uTha saz-e-tarab aur jal uThe dil ke charagh
ittifaqan bhi agar un se nazar Takra gai
ban gai wajh-e-farogh-e-anjuman sham-e-hayat
zindagi thi aap ki aur aap ke kaam aa gai
us nigah-e-multafit ka mujh se phirna tha 'jalil'
aarzuon ke gulistan mein KHizan si chha gai
(675) Peoples Rate This