Bala-kash-e-gham-e-geti Hai Jaan-e-zar Abhi
bala-kash-e-gham-e-geti hai jaan-e-zar abhi
hayat sar pe uThae hue bar abhi
mili kahan hai tujhe teri rahguzar abhi
hai yan se dur bahut dur ku-e-yar abhi
mah-o-nujum fasurda gul-o-saman giryan
hai kaenat mere gham mein sogwar abhi
kahun to kaise kahun us ko daur-e-adl-o-ata
hai dar-o-gir abhi jabr-o-iKHtiyar abhi
balaen aain sitam par sitam hue lekin
badal saka na zamana mera shiar abhi
sitare Dub gae shamen bujh gain jal kar
khuli hui hai magar chashm-e-intizar abhi
dayar-e-dil mein na jaane hai kab se virani
wa-lek shahr-e-nigaran mein hai bahaar abhi
uTho sanwaro nikhaaro hayat-e-nau baKHsho
urus-e-dahr ki aankhon mein hai KHumar abhi
na nam loge jafaon ka bhul kar bhi 'jalil'
nahin hue ho jafaon se ham-kanar abhi
(717) Peoples Rate This