Sahil Pe Gawara Hamein Marna Bhi Nahin Hai
sahil pe gawara hamein marna bhi nahin hai
TuTi hui kashti se utarna bhi nahin hai
baiThe hain shab-o-roz tasawwur mein usi ke
wo rahguzar jis se guzarna bhi nahin hai
likkhenge ba-har-haal hikayat-e-junun hum
sachchai qalam mein hai to Darna bhi nahin hai
ahbab bhi ab tez kiye baiThe hain naKHun
ab apne kisi zaKHm ko bharna bhi nahin hai
qatil ko bula lao sitamgar ko sada do
inkar mujhe maut se karna bhi nahin hai
ye KHak hai aadam ki daba is ko lahad mein
is KHak ko rahon mein bikharna bhi nahin hai
ehsan masafat mein kisi ka nahin lete
diwar ke sae mein Thaharna bhi nahin hai
(698) Peoples Rate This