Zalim Buton Se Aankh Lagai Na Jaegi
zalim buton se aankh lagai na jaegi
patthar ki choT dil se uThai na jaegi
hone do ho rahe hain jo ulfat ke tazkire
bigDoge tum to baat banai na jaegi
kah do ye shama se ki abas tu hai ashk-bar
pani se dil ki aag bujhai na jaegi
chilman ho ya naqab ho ya parda-e-haya
surat teri kisi se chhupai na jaegi
mumkin hai tir-e-naz se dil ko bacha bhi lun
lekin nazar ki choT bachai na jaegi
aankhen KHuda ne di hain to dekhenge husn-e-yar
kab tak naqab ruKH se uThai na jaegi
tauba ko munh laga ke KHajil hoge tum 'jalil'
jam o subu se aankh milai na jaegi
(790) Peoples Rate This