Zabt-e-nala Se Aaj Kaam Liya
zabt-e-nala se aaj kaam liya
girti bijli ko main ne tham liya
pa-e-saqi pe tauba loT gai
hath mein is ada se jam liya
phul ka jam jab gira koi
hum ne palkon se baDh ke tham liya
aafrin tujh ko hasrat-e-didar
chashm-e-tar se zaban ka kaam liya
dil jigar nazr kar diye mai ke
de ke do shishe ek jam liya
ulTi ek hath se naqab un ki
ek se apne dil ko tham liya
tark-e-mai ki hui talafi yun
nam saqi ka subh o sham liya
aa gai kya kisi ki yaad 'jalil'
chalte chalte jigar ko tham liya
(855) Peoples Rate This