Yun Na Tapka Tha Lahu Dida-e-tar Se Pahle
yun na Tapka tha lahu dida-e-tar se pahle
dekhna aag lagi phir usi ghar se pahle
jaise jaise dar-e-dildar qarib aata hai
dil ye kahta hai ki pahunchun main nazar se pahle
nama-e-yar paDhun main abhi jaldi kya hai
nama-bar ko to laga lun main jigar se pahle
be-hijabi jo sahi hai teri shoKH aankhon ki
rasm parde ki uThegi isi ghar se pahle
ai 'jalil' aap bhi kis dhyan mein hain KHair to hai
KHwahis-e-qadr-e-hunar kasb-e-hunar se pahle
(746) Peoples Rate This