Visal-e-yar Bhi Hai Daur Mein Sharab Bhi Hai
visal-e-yar bhi hai daur mein sharab bhi hai
qamar bhi hai mere pahlu mein aaftab bhi hai
ye husn ki nahin jadugari to phir kya hai
ki teri aankh mein shoKHi bhi hai hijab bhi hai
kisi ko tab kahan hai ki tujh ko dekh sake
jo nur hai tere ruKH par wahi naqab bhi hai
subut-e-ishq ko ye do gawah kafi hain
jigar mein dagh bhi hai dil mein iztirab bhi hai
ghurur-e-husn tujhe jis qadar ho zeba hai
KHuda ke fazl se surat bhi hai shabab bhi hai
sitam ki chaal sitam ki ada sitam ki nigah
tere sitam ka sitamgar koi hisab bhi hai
mere liye nahin pine ki kuchh kami saqi
ki chashm-e-mast bhi hai saghar-e-sharab bhi hai
'jalil' ne tumhein chaha to kya gunah kiya
tumhin batao tumhaara koi jawab bhi hai
(789) Peoples Rate This