UTTha Hai Abr Josh Ka Aalam Liye Hue
uTTha hai abr josh ka aalam liye hue
baiTha hun main bhi dida-e-pur-nam liye hue
saqi ki chashm-e-mast ka aalam na puchhiye
ek ek nigah hai kai aalam liye hue
shabnam nahin gulon pe ye qatre hain ashk ke
guzra hai koi dida-e-pur-nam liye hue
tai kar raha hun ishq ki dushwar manzilen
aah-e-daraaz o girya-e-paiham liye hue
uTh ai naqab-e-yar ki baiThe hain der se
kitne gharib dida-e-pur-nam liye hue
sunta hun un ki bazm mein chhalkenge aaj jam
main bhi chala hun dida-e-pur-nam liye hue
moti ki qadr sab ko hai phulon ko dekhiye
kya hans rahe hain qatra-e-shabnam liye hue
josh-e-junun mein lutf-e-tasawwur na puchhiye
phirte hain sath sath unhen hum liye hue
dil ki lagi na un se bujhi aaj tak 'jalil'
dariya hain garche dida-e-pur-nam liye hue
(815) Peoples Rate This