Sitam Hai Mubtala-e-ishq Ho Jaana Jawan Ho Kar
sitam hai mubtala-e-ishq ho jaana jawan ho kar
hamare bagh-e-hasti mein bahaar aai KHizan ho kar
jawani ki duaen mangi jati thin laDakpan mein
laDakpan ke maze ab yaad aate hain jawan ho kar
KHuda rakkhe dil-e-mayus mein ummid baqi hai
yahi gul hai jo bu deta hai pamal-e-KHizan ho kar
mujhe shabnam bana rakkha hai in KHurshid-ruon ne
rulate hain nihan ho kar miTate hain ayan ho kar
hamin wo the ki hoti thi basar phulon ke ghunche mein
hamin ab ai falak tinke chunen be-ashiyan ho kar
dar-e-jaanan ke aage kab tahayyur baDhne deta hai
jo aata hai wo rah jata hai sang-e-astan ho kar
nihaal-e-shama mein kya KHushnuma ek phul aaya tha
sitam Dhaya nasim-e-subh ne baad-e-KHizan ho kar
taqaza sin ka bhi allah kya shai hai ki yusuf se
zuleKHa naz karti hai nae sar se jawan ho kar
'jalil' aaKHir jo ki hai shaeri kuchh kaam bhi nikle
kisi but ko musaKHKHar kijiye mojiz-bayan ho kar
(865) Peoples Rate This