SaKHt Nazuk Mizaj-e-dilbar Tha
saKHt nazuk mizaj-e-dilbar tha
KHair guzri ki dil bhi patthar tha
muKHtasar haal-e-zindagi ye hai
lakh sauda tha aur ek sar tha
un ki ruKHsat ka din to yaad nahin
ye samajhiye ki roz-e-mahshar tha
KHak nibhti meri tere dil mein
ek shisha tha ek patthar tha
tum mere ghar jo aane wale the
khole aaghosh subh tak dar tha
abr-e-rahmat jo ho gaya mashhur
kisi mai-kash ka daman-e-tar tha
jab unhen shauq tha sanwarne ka
ek ek aaina sikandar tha
aansuon ki thi kya bisat magar
dekhte dekhte samundar tha
kaisi aazad zindagi hai 'jalil'
dar-e-dil par jab apna bistar tha
(1040) Peoples Rate This