Rahat Na Mil Saki Mujhe Mai-KHana ChhoD Kar
rahat na mil saki mujhe mai-KHana chhoD kar
gardish mein hun main gardish-e-paimana chhoD kar
KHum mein subu mein jam mein niyyat lagi rahi
mai-KHane hi mein hum rahe mai-KHana chhoD kar
aankhon ko chhoD jaun ilahi main kya karun
haTti nahin nazar ruKH-e-jaanana chhoD kar
aata hai ji mein saqi-e-mah-wash pe bar bar
lab chum lun tera lab-e-paimana chhoD kar
hoti kahan hai dil se juda dil ki aarzu
jata kahan hai shama ko parwana chhoD kar
do ghunT ne baDha diye rindon ke hausle
mina o KHum pe jhuk paDe paimana chhoD kar
phir bu-e-zulf-e-yar ne aa kar sitam kiya
phir chal diya mujhe dil-e-diwana chhoD kar
yaad aai kis ki aankh ki rind uTh khaDe hue
paimana toD kar mai o mai-KHana chhoD kar
duniya mein aafiyat ki jagah hai yahi 'jalil'
jaana kahin na gosha-e-mai-KHana chhoD kar
(962) Peoples Rate This