Qasid Aaya Magar Jawab Nahin
qasid aaya magar jawab nahin
mere likhe ka bhi jawab nahin
KHum to hai saqiya sharab nahin
aasman hai aur aaftab nahin
ban ke but sab wo kah guzarte hain
be-dahani tera jawab nahin
subh hote wo ghar gae apne
ab nikalne ka aaftab nahin
nur wo hai ki kuchh nahin khulta
hai tere ruKH pe ya naqab nahin
tur ke zikr par chamak uTThe
baat ki in buton ko tab nahin
garche duniya hai aaina-KHana
mera sani tera jawab nahin
ban gaya hai naqab chehre ki
ki utarta kabhi itab nahin
ruKH se afshan chhuDa ke kahte hain
aaj taron mein mahtab nahin
chand ko raat kya chhupaegi
zulf ruKH ke liye naqab nahin
chaDh ke utrengi tewriyan sau bar
kuchh ye chaDhta hua shabab nahin
kuchh nahin mere be-shumar gunah
wo agar barsar-e-hisab nahin
Dhal ke kahta hai chaudhwin ka chand
ek shab se siwa shabab nahin
mai to Dhal kar rahegi ai saqi
kuchh ye mashuq ka shabab nahin
mai-kada bhi bahisht hai lekin
muft milti yahan sharab nahin
sun ke ye parde se nikal aae
teri taswir ka jawab nahin
aah ko sun ke munh chhupate ho
ek jhonke ki bhi naqab nahin
KHatm hoti nahin hawas dil ki
ek tufan hai shabab nahin
dil jale jab maza hai rone ka
mai hai pani agar kabab nahin
ishq mein hai 'jalil' la-sani
husn mein yar ka jawab nahin
(797) Peoples Rate This